Wednesday 2 November 2011

Chale the ek girlfriend dhoondne...


“Girl friend bani teri”
Nahin
“Saale 22 saal ka ho gaya hai”
Toh
“Toh bana le naa”
Kyun
“Kyunki sabki hai”
Achcha

Hui kuch aur baatein
fir rakh diya tha receiver
sochta hun sahi keh raha tha
par kaise dhundhun ek girlfriend.....

Dost ko kasam di thi
ek mahine mein kisi ko apna banane ki
Ab kaise samjhayein usse,
humne toh kitno ko apna banaya tha
par unhe hi nahin padi thi humein apnane ki.....

Ghumaya tha number Mumbai waali ka
uss din koi film festival tha.
Fir bhi pooch daala banogi meri girlfriend
pata chala sang uske pehle hi uska boyfriend tha...

Baari thi fir Dilli waali ki
poocha usse bhi fir maine wahi sawaal.
Badle mein mila bas ek jawab
nakhre mere utha paoge?
Pehle hi sambhal jao
nahin toh pehle 15 bf ki tarah ex banke reh jaoge...

Soch kar main chaunk sa gaya
dekha jo Cellphone
uss par aa raha tha ek number naya.
Jaipur waali thi woh
architecture karti hai jo,
socha chalo isse baat banayi jaaye
finally ek rajputni patayi jaaye.

Poocha tha maine dheere se
"Kya iss dil mein mere sanam ban reh jaoge"
Boli thi main toh tayaar hun
par kya tum
"Bhaiya ki talwaar ki dhaar seh paoge?"

Sehem sa gaya tha main
ab toh baari Nainital ki thi
sard hawaaon mein lapete jo humein
chahat uss shaal ki  thi...

Phone uthake ghumaya tha number
mahina tha woh November.
Bol rahi thi baraf pad rahi hai
thand ke maare meri baahein akad rahi hai...

Ho sakte toh aa jao yahaan
le jaana hai tumhe le jao wahaan.
Par ek baat yaad rakhna
line hai mere peeche ladkon ki
ho sake toh uska zaroor dhyan rakhna...

Ab toh umeed hi chod baithe the
ki kabhi daal galegi meri
Tabhi andar se awaaz aayi
“Abbey chandigarh mein bhi toh hai na dost teri”

Bas fir kya tha kiya tha phone usse
apna kabka maan chuke the jisse
hello ke naam par gaali se greet kiya
Socha yehi pasand hai usko
toh humne bhi waise
thoda rudely hi treat kiya...

Socha shayad ab toh baat ban jayegi,
nahin pata tha ki uss side se call kat jaane ki awaaz aayegi...

Fir socha chalo videsh ki sair kari jaaye
kya pata wahi koi mil jaaye.
Mili thi ek, aur pasand bhi aayi sabko
par yahi toh maat kha gaye hum
ki pasand thi woh ‘sabko’

Bas aaj yunhi akele baithe hain
soch rahe hain ki kya ab,
meri bhi koi girlfriend banegi?
Kya iss bechare ki bhi,
kismet kabhi khulegi.

Par ye bechara bhi koi bechara na tha,
koi aisa kona nahin jahan munh maara na tha.
Ek perfect ladki ki talaash mein
naa jaane kitni thukra din thi
akele baith apni aadhi zindagi yunhi bita di thi

Aaj samjh kuch aa rahi hai usse,
ki har koi uski tarah hi toh hai.
Thoda achcha thoda bura,
thoda sachcha aur thoda jhootha hi toh hai...

Chala hai fir aaj, lekar dil apna soona
agar pasand aa jaye toh bata dijiyega
bechare ka sheher hai poona.




22 comments:

  1. And that is one really nice poem. :D

    ReplyDelete
  2. aise kavi ne hamein kabhi kyun na phone kia ;)

    Abhinav,

    NOW I AM A FAN <3

    ReplyDelete
  3. I have never read something like this before. :) Nice.

    ReplyDelete
  4. Waah bechaare ke V-DUMB-bana kisi khoobsurti se darshaai hai aapne :)

    ReplyDelete
  5. Another brilliant one Abhinav!:)
    You are too good with blending correct words with humor and pathos!:)
    Keep writing!:D

    ReplyDelete
  6. Bahut sahi likha re tuune,
    I didn't know there were such good poets
    In pune.

    ReplyDelete
  7. :D bwahahaha saale life story daal di tune to!

    well written :) good job!

    ReplyDelete
  8. And that is one really nice poem. :D

    ReplyDelete
  9. hahahaha.. this is so freaking awesome.
    All the Best! Kaash jaldi hi aapko ek awesome girlfriend mil jaaye! :P
    :D

    ReplyDelete
  10. Hahaha this is really nice. :D

    ReplyDelete
  11. :) Liked it.. nice

    ReplyDelete
  12. Nice one! Keep up the good work!

    ReplyDelete
  13. Haha.. Awesome this is. Well written, well ended. :)

    ReplyDelete
  14. Unpretentious :) simple ...awesome !! good Work dude!

    ReplyDelete
  15. Total epicness bro. :D Masst!

    ReplyDelete
  16. dard halka kar gaye aap! :) bahut khub.

    ReplyDelete