Friday 21 March 2014

Ek Nayi Shuruaat



Rail gaadi ki chuk chuk sun,
Jaagein hain aaj,
Naya station aaya hai,
Naya khayaal bhi sang laya hai,
Ek gaana aur likh daalo aaj,
Ek safar aur kar daalo aaj...

Manzilein aaj musaafiron mein,
Tabdeel ho gayi hain,
Aur musaafir bane,
Fir rahe hain hum,
Ab kya koi darr humein,
Jhakjhorega,
Ab gam ka kaunsa karwaan,
Hum par apne nishaan chhodega ...

Khushiyon se mulaqat,
Hui hai aaj,
Jo ek nayi subah sang,
Faila liye iss panchi ne apne parwaaz,
Ud chalenge kahin,
Ab toh poora jahaan apna hai,
Beeta hua kal ek band kitaab hai,
Aur aane waala kal ek sapna hai...

Haath mein apne,
Bas ek aaj hai dost,
Toh chalo,
Ab isi par apni ek nayi daastaan likhte chalein,
Ek nayi shuruaat hai apni,
Chalo sang chalein ... 

2 comments: