Monday 31 October 2011

Raj aur main...


Yaad hai uss din
jab koode the school ki deewar
Kaha tha tune aaj karle khwashish puri
Nikal padte hain kahin hum do yaar...

Warden sir ke dande ka na tha darr
Socha toh kuch bhi nahin tha
Nikal gaye the yunhi raat 10 baje magar...

Pilani ki unn sunsaan sadko par
Jab woh bhaunkte hue kutte
Humein dekh poonch hilaye the
Aaj 10 saal baad ussi din
Fir wohi pal yaad aaye the....

October ki unn sard hawaaon mein
Kaanpte hue chale the bus stand ki oor
Yaad hai jab humein pehchaan
School ke guards lapke the humari oor...

Bas 15 minute ki hi toh azaadi thi woh
Fir kyun aaj itni yaad aayi thi woh...

Na toh ab hostel ke din rahe hain
Na hi tum ho saath mere yaar
Par mann aaj bhi karta hai
Yunhi udd jaane ko inn badlon ke paar...

3 comments:

  1. mann to karta hai udne ko,
    par hi to kaat li ye zindagi,
    jo bachpan me lagta tha khula aasman,
    reh gaya wo ek chhat bankar,
    fir bhi pinjare me bandh ye mann,
    kya bhala sunta hai kisi ki?

    ReplyDelete
  2. Wow....Good. It seems to be inspired from 'Mera kuch saman' by gulzar sahab. Well written.

    ReplyDelete
  3. We are no shoddy specialist co-op thus comprehend what honorable men look for. Every one of the young ladies with us originate from an extremely elegant foundation and are exceedingly taught.
    Read More:- Dehradun Escort Service

    ReplyDelete