Tuesday, 1 November 2011

Pados waali item....


Naye naye flat mein shift hue the
Mann mein thi khwahishein kayi saari
Unme se ek thi,
Ki koi sundar ladki bhi ho padosi hamaari....

Flat toh khair kaafi achcha tha
Broker bhi kaafi sachcha tha....

Samaan set kar bistar par jaise hi baithe the
Kambakhat bijli hi udd gayi
Aur tabhi hamari nazar
Kamre ki French window par padh gayi.....

33 Crore bhagwaan ko yaad kar
Khola tha khidki ko jaise hi...

Umeed reh gayi dhari ki dhari saari
Jo dikhi saamne khunte se bandhi ek bhains bechari.....

“kamina tabele ke pados waala ghar pakda gaya”
Bola tha ye Abhinav bechara
Par kya kare koi
Ab toh bitaana tha uss bhains sang saal saara....

Roz subah khidki ke saamne khade woh muskurati thi
Mujhe breakfast karte dekh apna gobar girati thi...

Uski awaaz se mere doston ki toli
Thar tharrati thi
Par subah theek 6 baje
Apna alarm woh  hamesha bajaati thi....

Roz thaka haara jab college se aata
Toh hamesha usse apni taraf dekhte hue paata
Dum hilaati welcome karti thi mujhe
Shayad poochti hogi
Aaj main kaisi lag rahi hun tujhe....

Fir jab hua saal poora
Chod diya tha who flat maine
Par yaad hai mujhe woh aakhri din
Jab usse milne gaya tha tabele mein main...

Firse poonch hila rahi thi
Shayad paas apne bula rahi thi
Jaake usko bola tha main
Ki ab bas kuch der mein nikal jaunga
Shayad tumse milne ab
Kabhi na aaunga....

Aankhon mein naa jaane kyun
Aa gaye the uske aansu
Bola tha room mate mujhe
Kyun ek bhains ke saath hi
Dosti kar baitha tu.....

Ab toh flat bhi naya hai
Aur ek girlfriend bhi hai
Ab toh harr samay khush rehta hun
Na hai koi gamm...

Par fir bhi kabhi kabhar
Yaad aa jaati hai woh,
Pados waali item.....

6 comments:

  1. Back to back poems. One as good as the other. Love the way you put your thoughts into words.
    Love it as always!
    Damn! I need to start thinking of better ways to appreciate your poems. :)
    Keep up!

    ReplyDelete
  2. Hey.. That was a good read!! :D Last line.. :D :-P

    ReplyDelete
  3. :) *all smiles* Whattay poem! :) This is what I would like to call #joyofsmallthings :)

    ReplyDelete
  4. Bwahahahaha!! hilarious, this is! :D

    ReplyDelete