Showing posts with label nostalgia. Show all posts
Showing posts with label nostalgia. Show all posts

Thursday, 9 August 2012

इमारत

Based on this image clicked by Faizan Patel (His Photography page)

याद है, 
वह सीढियां, जहाँ बैठ कर 
सांप सीढ़ी खेला करते थे, 
कभी मैं तुमसे हार जाता, 
तो कभी तुम मुझसे जीत जाया करती थीं

वह छत, जहाँ साथ मिलकर 
पतंगें उड़ाया करते थे, 
और जो मंजे से मेरी उंगली कट जाती, 
तो तुम अपने होंठों से मरहम लगा जाया करती थीं

एक बगीचा, छोटा सा, 
जहाँ हर सावन के महीने में ओले बटोरा करते थे, 
और भीगे भागे जब घर में घुसते, 
तो माँ तुम्हारे हिस्से के थप्पड़ भी मुझे रसीद दिया करती थीं

मास्टर बैडरूम, कोने वाला 
जहाँ शादी के बाद हमने एक छोटा सा जहाँ बसाया था, 
वहां पड़े एक टूटे बिस्तर के सिरहाने पर आज भी तुम्हारी यादें बस्ती हैं, 
वही, जो एक बंद पड़े काले बक्से में तुम छुपा दिया करती थीं 

एक घर हमारा, 
पहाडगंज की गलियों में सीना ताने मुस्कुराता था, 
आज खंडहर बन सूखे आंसू बहाता है, 
जिसे कभी सुबहें अपनी सुनहरी किरणों से सजा जाया करती थीं 

एक इमारत ही है बस, 
मेरे सपनो की तरह कुछ टूटी हुई सी, 
एक इमारत ही है बस, 
मेरे अपनों की तरह कुछ रूठी हुई सी 

Tuesday, 10 January 2012

Nisha, shayad yehi naam tha uska…


Baat kuch saal pehle,
Garmiyon ki hai
Jab bijli har roz chali jaati thi,
Aur roz raat chhat par fir hawa khane
Woh aati thi …

Main aur mera dost,
Har raat wahin chhat par baith
Usse dekha karte the,
Woh kya kehte hain,
Haan, aankhein seka karte the …

Mehrooni rang ki salwar,
Toh kabhi firozi rang ka kurta,
Kabhi jeans mein toh kabhi pajaame mein
Woh apni dost ko lekar chhat par aati thi,
Thoda aasmaan mein roshan chand ko niharti,
Thoda humein dekh muskurati thi …

Hum bhi kahaan shareef the,
Plan naye roz banate the,
Jaan bhoojh kar roz raat,
Naye naye romantic gaane gungunate the …

Fir hua yun,
Ki ek raat woh fir chhat par tehelne aayi,
Hamesha ki tarah hum bhi gungunaye,
Aur achanak, suna ki uski chatt se kuch awaaz aa rahi hai
Pata chala humare mukhde ka antra
Toh aaj woh gaa rahi hai …

Aur fir kya tha,
Dono chhaton ke beech jo thodi duri thi,
Woh humne ek chalaang mein hi puri ki,
Aur jaa pahunche uss paar….

Uss raat taaron ki chaadar tale,
Hum yunhi baithe rahe,
Baatein toh karne ko kaafi thi,
Par naa jaane kyun hum dono chup rahe ….

Woh kehte hain na,
Kabhi kabhar bin kahe hi sab bol jaate hain,
Shayad waisi hi raat thi woh,
Jiske pal aaj bhi aasmaan mein uss chaand ko dekh yaad aa jaate hain ….

Garmiyon sang woh bhi chali gayi thi,
Aur pehli baarish ki khusbu sang,
Apni kuch yaadein hamesha ke liye chod gayi thi …

Nisha, 
shayad yehi naam tha uska…


Thursday, 5 January 2012

Razaai waali raatein...


Inn ghup kohre se sayein sayein kar
Jab siyaaron ki awaazein aati hain
Aur jab der raat toote hue sapne se jagne ke baad
Uski yaadein satati hain
Ye razaai waali raatein, kambakht bahut tadpaati hain

Tap tap kar aankhon se jab paani tapakta hai,
Ghadi ki sui tik tik kar jab ek ajeeb si halchal machati hain,
Jab har aahat par lagta hain, ki dheere dheere woh paas aati hai
Aur jab 12 baje inn sard raaton ko, radio waali romantic gaane chalati hai
Ye razaai waali raatein, saali bahut tadpaati hain

Jab kutte paglon ki tarah halla machaate hain,
Jab billi ke bachche maa ke saath ko chillate hain,
Jab kohre se chann kar ek halki si chandni khidki se aati hai,
Jaise shayad uska koi sandesa laati hai
Ye razaai waali raatein, yaar bahut tadpaati hain

Jab woh sirhane par padi uski tasveer,
Ko dekh dekh cigarette ek aur sulga lete hain,
Jab uske pasand ke gaane sun, ghanto bita dete hain
Aur jab harr raat uske sapno se dosti kuch aur ho jaati hai,
Ye razaai waali raatein, reh reh kar bahut tadpaati hain

Jab na chah kar bhi rona aa jata hai,
Jab sab kuch pakar bhi khona aa jata hai,
Jab har baar aankhein band karne par,
Woh apne naye boyfriend ki baahon mein dikhayi deti hai,
Jab uske purane sms padh padh phone ki battery khatam kar dete hain,
Jab uske diye perfume ko, ki kabhi khatam na ho, ek air tight container mein band kar lete hain,
Jab uski di hui ghadi, harr samay kalai se chipki rehti hai
Jab uski di hui shaving cream, roz raat toothbrush sang padi dikhayi deti hai
Jab uske diye hue wallet mein, ussi ki tasveer basti hai
Jab ye saali kismat, roz raat mujh par hasti hai,
Jab ipod mein bas ussi ke pasand ke gaane hote hain,
Jab uske diye pehle love letter ko roz takiye ke neeche daba kar sote hain,
Jab reh reh kar hum khudko thoda aur tadpa lete hain,
Jab ye dard hi zindagi ban jaata hai,
Jab jeena ek bimari ban jaata hai,
Jab uski shaadi ka card pehli January ko mail box mein aata hai,

Aur ek saal baad, jab aansu ki aakhiri boond bhi sookh jaati hai,
Fir se ek baar, woh razaai waali raatein aaj bhi aur tadpa jaati hain





Wednesday, 16 November 2011

A collection of short ones


Sometimes I just want to cry,
so that she could smile.
I hope she’s smiling right now.

 ********

Hey friend,
I know you’re there
Hiding behind the desk, aren’t you?

Hey friend,
I know you’ll come out anytime.
Look I am hurt, and I need you.

Hey friend,
I know you’re coming out anytime,
I know you’re going to comfort me now.

Hey friend,
I know you’ve died but your memories are still there,
you’re still by my side; you’re still making me smile.

*********

The old pine tree,
it still stands there, behind the park.
It still remembers our first conversation,
and it still recalls the story of our first kiss.

That water fountain at the city center,
it is still the main tourist attraction.
But it misses our small fights,
at 2 AM during the starry nights.

The last desk in the class,
yes our names are still carved on it.
The scent of your shampoo is still present there
where you kept your head down,  just to stare
at me.

That house is still empty,
where the tears which fell from your eyes
when we made love for first time,
are still flowing down the slanted and creaking floor.

That bicycle is still rusting in my backyard,
which I once used to bring flowers
to apologize for every mistake I made.

I still use that cycle to carry those same flowers
every day at 9 AM to the grave,
Where from past 10 years,
you’ve stayed.

*******

Those memories,
I’ll burn them all and smile.
I don’t want to cry anymore,
I don’t want them to be my
emotions’ turnstile.

Those memories,
they’re all gone.
Now I don’t cry,
but I also don’t smile.
Smiling doesn’t make sense,
now that the emotions don’t
have any fence.

********

My guitar and me,
I don’t know how to play it.
But it still loves me.

I just strum it and hum a random tune,
it loves my fingers caressing its strings,
it still hopes that I’ll learn its tunes.

My guitar and me,
we have stayed together during hard times.
And now that the good times are near
it looks at me and smiles, whenever I sing.

My guitar and me,
it wants me to learn a new song today.
It says to me, “I know you love that girl.
Won’t you play a song for her.”

My guitar and me,
we’re the best friends.
We might not know each other perfectly
but we’re still auto tuned to each other.                 

*******

Bless them all,

Bless the smile on his torn lips,
Bless that eye which can’t see
Bless that tongue which can’t speak
Bless that ear which can’t hear
Bless that knee,
which misses its other partner.

But most of all,
Bless those who still smile,
despite their fears and troubles.

Just bless them all, God. 

Monday, 7 November 2011

Woh sheher Nainital ka....


Aaj fir yaad mein dooba hun,
unn dino ki jo yunhi guzar gaye.
Uss shahar ki
jahan kabhi jaana bas majboori
lagta tha
Woh sheher Nainital ka......

Lagta tha ki
aur kisi hill station nahin ja sakte
toh chalo Nainital hi chal lete hain.
Pass mein hi toh hai
shaam tak aa jayenge....

Ubb sa jaata tha tab main
kitna bewakoof tha main.
Na dekh paata tha uss
khoobsurat nazaaron ko
Unn khoobsurat logon ko
aur uss khoobsurat Nainital ko....

Aaj yahan pune mein hun
aaj kahan balki pichle 5 saal se.
Ab toh yehi sheher apna lagta hai
woh chota sa Kashipur toh bas
ek sapna lagta hai....

Aaj bhi har waqt dil karta hai
ki jaldi kuch ban jaun,
thode paise kamaun,
fir jaunga wahan.
Khoob masti karunga
aur maa ko bhi ghumane le jaunga
wahin Nainital jaunga....

Ek baar fir Mall road pe khada
hokar, garam coffee ki chuski lunga.
Jheel ke upar se aati thandi hawa,
fir chehre ko chukar nikal jayegi.
Ek sihran si hogi, wohi jo pehle hoti thi....

Saamne jheel ko dekhta rahunga
mall road pe khade hoke.
Woh ek bookstore hai wahin,
ussi ke chaukhat pe khade hoke,
haath mein firse ek cup coffee ka hoga.....

Fir mann toh hai ki boating bhi karun
iss baar pucca paddle boating karunga.
Hamesha darr lagta tha mujhe paddle boating se,
lagta tha doob jaunga.
Par buri baat kya hai,
dooba bhi toh apni,
sabse pasandeeda jheel mein hi samaunga,
kisse milti hai aisi kismat.
Hehe, dekha darr aaj bhi hai...

Tab toh pitaji bhi the
humein scooter par le jaate the Nainital.
tadke nikla karte the.
Aur raaste mein woh kaladhungi ke,
Jim Corbett museum se lekar,
Nainital ke Manu maharani tak,
bas deodar aur cheed se dhaki hoti thi sadke....

October mein bhi toh jaate the,
scooter par baith kar.
Fir achchanak pitaji scooter rokte the
aur kehte the,
woh dekh hare hare patton par,
safed safed baraf jami hai.
Main uss baraf ko dekhta aur sochta
ki kabhi snowfall dekhunga Nainital mein....

Iss baar pucca jaunga
january mein jaunga
2 mahine hi toh door hai.
Iss baar baraf mein khoob khelunga
woh snowman bhi banaunga.
Suna hai bada mazaa aata hai
iss baar saare maze uthaunga
iss baar Nainital zaroor jaunga....

Woh pahaadi sheher Nainital ka
aaj bhi roz yaad aata hai ....

Tuesday, 1 November 2011

Guzar gaya woh zamana, akele reh gaye hum....


Doston ke sang bitaate the shaam,
ab toh bas yunhi bistar par pade rehte hain.
Cricket aur ludo bina din khatam nahin hota tha,
ab toh akele baith angry birds mein khoye rehte hain...

‘Roohafza’ chillati thi ma,
Aur daude jaate hum sab ghar ki oor.
Shaam ko baith kar dekhte the Cartoons
na rukta tha kabhi hungama, 
din bhar dhama chaukdi aur shor...

Pehle toh jaan kha jaate the,
"Iss sunday lunch pe naa aaye toh dosti khatam"
Ab toh bas duur se hi muskurate dete hain,
pass jaake gale milne se darte hain hum...

Aansoo bhi jo aate the,
toh ek haath hota tha unhe ponchne ke liye.
Aaj toh muskurate hue bhi ek,
akela pan sa lagta hai...

Sochta hun unn galiyon mein fir jaun,
jahan cricket khelte hue na jaane kitni balls khoyi thi.
Par ruk jaata hun soch kar,
kahin firse na ugg jayein unn yaadon ke beej
jo unhi galiyon mein boyi thi...

Tab roz raat sote waqt hota tha subah ka intezaar,
Ab toh neend sang karli dushmani humne, 
ugte suraj ki kisse padi hai
jo raat ko hi bana liya apna yaar...

Kisse yaad hai who nimbu paani ya khus ka sharbat,
ab toh dost ban gayi jo apni whiskey aur rum.
Guzar gaya who haseen zamana,
aur akele reh gaye hum...

Pados waali item....


Naye naye flat mein shift hue the
Mann mein thi khwahishein kayi saari
Unme se ek thi,
Ki koi sundar ladki bhi ho padosi hamaari....

Flat toh khair kaafi achcha tha
Broker bhi kaafi sachcha tha....

Samaan set kar bistar par jaise hi baithe the
Kambakhat bijli hi udd gayi
Aur tabhi hamari nazar
Kamre ki French window par padh gayi.....

33 Crore bhagwaan ko yaad kar
Khola tha khidki ko jaise hi...

Umeed reh gayi dhari ki dhari saari
Jo dikhi saamne khunte se bandhi ek bhains bechari.....

“kamina tabele ke pados waala ghar pakda gaya”
Bola tha ye Abhinav bechara
Par kya kare koi
Ab toh bitaana tha uss bhains sang saal saara....

Roz subah khidki ke saamne khade woh muskurati thi
Mujhe breakfast karte dekh apna gobar girati thi...

Uski awaaz se mere doston ki toli
Thar tharrati thi
Par subah theek 6 baje
Apna alarm woh  hamesha bajaati thi....

Roz thaka haara jab college se aata
Toh hamesha usse apni taraf dekhte hue paata
Dum hilaati welcome karti thi mujhe
Shayad poochti hogi
Aaj main kaisi lag rahi hun tujhe....

Fir jab hua saal poora
Chod diya tha who flat maine
Par yaad hai mujhe woh aakhri din
Jab usse milne gaya tha tabele mein main...

Firse poonch hila rahi thi
Shayad paas apne bula rahi thi
Jaake usko bola tha main
Ki ab bas kuch der mein nikal jaunga
Shayad tumse milne ab
Kabhi na aaunga....

Aankhon mein naa jaane kyun
Aa gaye the uske aansu
Bola tha room mate mujhe
Kyun ek bhains ke saath hi
Dosti kar baitha tu.....

Ab toh flat bhi naya hai
Aur ek girlfriend bhi hai
Ab toh harr samay khush rehta hun
Na hai koi gamm...

Par fir bhi kabhi kabhar
Yaad aa jaati hai woh,
Pados waali item.....