Thursday, 5 January 2012

Razaai waali raatein...


Inn ghup kohre se sayein sayein kar
Jab siyaaron ki awaazein aati hain
Aur jab der raat toote hue sapne se jagne ke baad
Uski yaadein satati hain
Ye razaai waali raatein, kambakht bahut tadpaati hain

Tap tap kar aankhon se jab paani tapakta hai,
Ghadi ki sui tik tik kar jab ek ajeeb si halchal machati hain,
Jab har aahat par lagta hain, ki dheere dheere woh paas aati hai
Aur jab 12 baje inn sard raaton ko, radio waali romantic gaane chalati hai
Ye razaai waali raatein, saali bahut tadpaati hain

Jab kutte paglon ki tarah halla machaate hain,
Jab billi ke bachche maa ke saath ko chillate hain,
Jab kohre se chann kar ek halki si chandni khidki se aati hai,
Jaise shayad uska koi sandesa laati hai
Ye razaai waali raatein, yaar bahut tadpaati hain

Jab woh sirhane par padi uski tasveer,
Ko dekh dekh cigarette ek aur sulga lete hain,
Jab uske pasand ke gaane sun, ghanto bita dete hain
Aur jab harr raat uske sapno se dosti kuch aur ho jaati hai,
Ye razaai waali raatein, reh reh kar bahut tadpaati hain

Jab na chah kar bhi rona aa jata hai,
Jab sab kuch pakar bhi khona aa jata hai,
Jab har baar aankhein band karne par,
Woh apne naye boyfriend ki baahon mein dikhayi deti hai,
Jab uske purane sms padh padh phone ki battery khatam kar dete hain,
Jab uske diye perfume ko, ki kabhi khatam na ho, ek air tight container mein band kar lete hain,
Jab uski di hui ghadi, harr samay kalai se chipki rehti hai
Jab uski di hui shaving cream, roz raat toothbrush sang padi dikhayi deti hai
Jab uske diye hue wallet mein, ussi ki tasveer basti hai
Jab ye saali kismat, roz raat mujh par hasti hai,
Jab ipod mein bas ussi ke pasand ke gaane hote hain,
Jab uske diye pehle love letter ko roz takiye ke neeche daba kar sote hain,
Jab reh reh kar hum khudko thoda aur tadpa lete hain,
Jab ye dard hi zindagi ban jaata hai,
Jab jeena ek bimari ban jaata hai,
Jab uski shaadi ka card pehli January ko mail box mein aata hai,

Aur ek saal baad, jab aansu ki aakhiri boond bhi sookh jaati hai,
Fir se ek baar, woh razaai waali raatein aaj bhi aur tadpa jaati hain





2 comments:

  1. Narrated this poem to my mom and she loved it :)
    Her words: "Kitna talented hai! Bachcha bada cute hoga, usko mera pyaar"
    In other words, keep writing Abhi :)

    xx

    ReplyDelete
  2. Loved it :)
    Glad that I discovered your blog.

    ReplyDelete