Tuesday, 10 January 2012

Nisha, shayad yehi naam tha uska…


Baat kuch saal pehle,
Garmiyon ki hai
Jab bijli har roz chali jaati thi,
Aur roz raat chhat par fir hawa khane
Woh aati thi …

Main aur mera dost,
Har raat wahin chhat par baith
Usse dekha karte the,
Woh kya kehte hain,
Haan, aankhein seka karte the …

Mehrooni rang ki salwar,
Toh kabhi firozi rang ka kurta,
Kabhi jeans mein toh kabhi pajaame mein
Woh apni dost ko lekar chhat par aati thi,
Thoda aasmaan mein roshan chand ko niharti,
Thoda humein dekh muskurati thi …

Hum bhi kahaan shareef the,
Plan naye roz banate the,
Jaan bhoojh kar roz raat,
Naye naye romantic gaane gungunate the …

Fir hua yun,
Ki ek raat woh fir chhat par tehelne aayi,
Hamesha ki tarah hum bhi gungunaye,
Aur achanak, suna ki uski chatt se kuch awaaz aa rahi hai
Pata chala humare mukhde ka antra
Toh aaj woh gaa rahi hai …

Aur fir kya tha,
Dono chhaton ke beech jo thodi duri thi,
Woh humne ek chalaang mein hi puri ki,
Aur jaa pahunche uss paar….

Uss raat taaron ki chaadar tale,
Hum yunhi baithe rahe,
Baatein toh karne ko kaafi thi,
Par naa jaane kyun hum dono chup rahe ….

Woh kehte hain na,
Kabhi kabhar bin kahe hi sab bol jaate hain,
Shayad waisi hi raat thi woh,
Jiske pal aaj bhi aasmaan mein uss chaand ko dekh yaad aa jaate hain ….

Garmiyon sang woh bhi chali gayi thi,
Aur pehli baarish ki khusbu sang,
Apni kuch yaadein hamesha ke liye chod gayi thi …

Nisha, 
shayad yehi naam tha uska…


1 comment: