Showing posts with label befaltu ki tukbandi. Show all posts
Showing posts with label befaltu ki tukbandi. Show all posts

Wednesday, 23 November 2011

मेरी पहली वाली किस...


Baat 2 saal purani, dost ke bhai ki shaadi ki hai
Jawaani ki dehleez pe kadam rakhe the
Doston ne iss baar thodi khabar li thi humari
Kyunki 20 saal ki umar mein bhi aam thode kam chakhe the...

Bola tha iss baar shaadi mein teri
Ek girlfriend banwayenge
Aakhirkar bachche se aadmi tujhe zaroor banayenge....

Ab marta kya na karta,
Haan mein maine bhi haan mila di thi
Thoda darra hua toh tha hi
Par dost chodo, unki gfs ne hi
Thodi bahut practice kara di thi  ....

Suna tha dost ke bhai ki saali 
Pe sab fida hain
Humne toh thaan li thi ek baar
Na mudke usko dekhenge
Jahan pehle se hi 20 log jama hon
Uss alaav par haath na sekenge....

Shaadi waale din ke liye,
Dost ne khud mere liye
ek special sherwani silwayi thi
Jab sherwani pehen ke bahar nikle
Toh doston ke kuch friends ne seeti bajayi thi....

“Chamak raha hai bada aaj,
Beta aaj khali haath wapas nahin aana.”
Par yaar…
“Na na, dekh aaj shaadi mein ek se badhkar ek hongi,
Aisa mauka haath se na ganwaana.”...

Dost ki hidayat,
Ek kaan se sun dusre se nikali thi
Aakhir mujhe jaise sharmile ladke se
Bhala koi ladki kahan patne waali thi....

Khair, sab bhool bhaal baraat sang
Hum sawaar hue the
Humein kya pata tha ki humari peeth peeche
Humari setting ke plans tayaar hue the...

“Beta woh dekh, woh hai badi saali
Woh toh hai 25+ doston waali.
Aur woh choti saali, woh hum logon waali.”
Par sun itna lamba haath main kahan
Maar paunga
Itni sundar ladki ke saamne, 2 min na tik paunga
“Abbey ladka, hai ki ladki. Punjabiyon ke naam par dhabba hai,
Saala na daaru na ladki, beta tu toh bhagwaan ke saamne
Jalaane waali agarbatti ka dabba hai.”...

“Chod isse yaar, ye na kuch kar payega.
Saala bhari mehfil mein, hum doston ke group ka naam dubayega.”
Baat dost ki sun ek minute ke liye
sharam se paani paani ho gaya tha main...

Par baat toh wohi thi, itne saalon mein
Ek bhi na pat paayi thi
Aur jo 2-3 pasand aayi, woh humare
Doston ne hi khud humse churayi thi....

Confidence pura low tha
Aur socializing skills bhi hamara so so tha
Ab toh akele hi raat guzarni padegi
Ye soch kar pareshaan baitha tha main...

Shaadi toh kab ki chalu ho gayi thi
Ice cream aur cold drinks se apna
Mann behla raha tha
Saamne dekha toh, dost ka chota bhai
Choti saali sang batiya raha tha...

Lo ji katt gayi patang, ab toh
Chicken ke leg piece sang raat bitayenge
Hum jaise buddhu iss jamane mein
Kahan koi ladki pata payenge...

“Sun”, kaan mein aakar dost fusfusaya tha
“Dekh beta chote waale ko main
Ghar bhej raha hun kuch samaan lane.
Mauka achcha hai, ja apna jaal bichale.”
Dost ne aakar khabar toh achchi di thi...

“Hello I am Abhi. Aap bhabhi ji,
I mean, dulhan ki choti behen hai na.”
Haan mein sira hila woh thoda muskurayi thi
Sach kehta hun dost, uski aankhon ne
Shaareer mein 440 volt waali current daudayi thi....

Tabhi mere mobile par ek sms aaya
“Terrace pe pada hai guitar,
Ab toh baaji maar ja yaar.”...

“Suno kaafi boring si hai shaadi,
Chalo thoda tehel aate hain.
Suna hai chat se view achcha aata hai,
Wahin ka nazara le aate hain.”...

Sharmati hui, usne hamari haan mein haan milayi
Aur fir apni nazrein uske rishtedaaron ki taraf ghumayi
“Raasta saaf hai, chalo let’s go.” Fir boli woh...

“Seriously yaar, kitni boring shaadi hai,
Upar se sab ladkon ki flirting zaari hai.
Main khush hun ki tum unn jaise nahin,
Jo mere peeche pade nahin.”...

Ye toh atom bomb gira tha
Beta ab kaise daal galegi,
Kahan pata tha ye itni shaani niklegi....

Tabhi nazar ghuma dekha
Toh saamne rakha tha ek guitar.
Aur boli woh, “wow, I know how to play that.”

Bas fir kya tha, baaton baaton mein
Usne uthaya tha guitar
Kaafi achcha bajaati thi woh, par zabardast planning ki thi doston ne
Kyunki bahut besura gaati thi woh....

“Suno main thoda bahut gaa leta hun.”
Bol humne, mauke pe aisa chauka lagaya tha
Agle 1 ghante tak saath baith humne
Fir sur se sur milaaya tha.....

Uski aankhon mein ab alag si chamak thi
Aur awaaz mein bhi uski ek khanak thi.
Laga tha jaise saara confidence wapas aa gaya
Iss bachche par ek aadmi ka bhoot cha gaya...

“Kya hua, itne pass kyun aa rahe ho.”
Kyunki tum pal pal mujhe saata rahi ho
“Par main aise kya kiya?”
Pichle ek 1 ghante se kare hi toh jaa rahi ho, Jiya
“Aisa kya keh rahe ho tum? Darr lag raha hai mujhe.”
Par main hun saath, kiska darr tujhe
“Aur agar kisine dekh liya.”
Terrace ka darwaza band karke aaya hun.
“Par hum ek dusre ko sahi se jaante bhi nahin.”
Toh jaan jao.
“Please tum aur pass mat aao.”
Par main toh aa gaya.
“Apni saansein meri saanson se na takraao.”
Kyun, kuch ho raha hai
“Haan bahut kuch….”

Bas baaki ka aapko kya batana,
Aur ab aapse bhi kya chipaana.
Sirf uss raat hi the saath hum,
Aur fir woh kahan aur main kahan.  
Par aaj bhi yaad hai, woh pehli kiss,
Jab andheri raat ko, taaron tale baithe the wahan.....

Friday, 4 November 2011

Love in the time of diarrhoea....


Commode pe baitha tha main,
lekar ek novel.

Ab kya kare hum,
jab loose ho gaye the hamare bowel....

Kha kha ke pichli raat
pet ka aisa bura haal kiya tha,
lag raha tha jaise
subah se uthkar pet ne
apna badla lena start kar diya tha....

Sab chod chaad aadha din
pehle hi toilet mein bita chuke the
tabhi phone uthakar dekha
pichli raat party mein mili ladki ke
5 miss call aa chuke the....

Ab baat karni bhi zaroori
aakhir dil ki thi majboori.
Par ye pet saala bhi kahan kam tha
phat raha andar ek se badkar ek
atom bomb tha....

Fir bhi himmat kar jo uska phone milaya tha,
water loss ki wajah se sir ekdum chakraya tha.
Samajh nahi paye the ki kis kis ko sambhalein
novel, cellphone, pet ya sir.

Boli woh ki sham ko miloge
humne haal zara apna naazuk bataya tha.
Fir boli, “Chalo kuch nahin”
bas saath mein movie chalne ka plan banaya tha....

Ab aisa mauka baar baar toh aata nahin
raat mili ladki ke sang agle din movie toh har koi jaata nahin.
Socha chalo dekhte hain jo hoga dekha jayega
jyaada se jyaada kya hoga
10-15 min wahin toilet mein bita liya jayega....

Hadbadi mein dawaai lena hum bhool gaye the,
yaad ye baat aayi jab pahunche the hum cinema hall
Aur liye usne 2 sandwich, popcorn, saath mein pepsi....

Ab love-shove mein saath khana toh padta hai,
par kaise batate usse ki pet pe uska
kya kya asar padta hai...

Fir bhi bhagwaan ka naam leke
jo sandwich aadha khaya tha.
Aisa laga tha jaise
pet ke andar bhuchaal koi aaya tha....

2 minute  mein aane ka vaada kar
bhaage the hum bathroom ki taraf.
Bhaiya jaise taise bach gaye
jo sahi time par washroom pahunch gaye....


Fir puri tarah tayaar hokar
10 minute baad nikle the
man mein ek nayi umang thi
pet ke bhitar na ab koi tarang thi...

Soch liya tha ab toh
prem ke pahaad par chadhayi ki jayegi.
Naye josh ke saath
apni love story aage badhayi jayegi....

Jo nikle washroom se bahar toh
dekh humein woh muskura rahi thi.
Ek samay aisa laga ki
hamari kismet humein hamare haal par chidha rahi thi....

Hum bole, “Kya hua humein bhi batao”
usne kaha zara apni garden peeche ghumao....

Jaise hi hum gardan peeche ghumaye the,
pata chala tha ki pichle 10 minute
humne ladies washroom mein bitaaye the....