Tuesday, 1 November 2011

Guzar gaya woh zamana, akele reh gaye hum....


Doston ke sang bitaate the shaam,
ab toh bas yunhi bistar par pade rehte hain.
Cricket aur ludo bina din khatam nahin hota tha,
ab toh akele baith angry birds mein khoye rehte hain...

‘Roohafza’ chillati thi ma,
Aur daude jaate hum sab ghar ki oor.
Shaam ko baith kar dekhte the Cartoons
na rukta tha kabhi hungama, 
din bhar dhama chaukdi aur shor...

Pehle toh jaan kha jaate the,
"Iss sunday lunch pe naa aaye toh dosti khatam"
Ab toh bas duur se hi muskurate dete hain,
pass jaake gale milne se darte hain hum...

Aansoo bhi jo aate the,
toh ek haath hota tha unhe ponchne ke liye.
Aaj toh muskurate hue bhi ek,
akela pan sa lagta hai...

Sochta hun unn galiyon mein fir jaun,
jahan cricket khelte hue na jaane kitni balls khoyi thi.
Par ruk jaata hun soch kar,
kahin firse na ugg jayein unn yaadon ke beej
jo unhi galiyon mein boyi thi...

Tab roz raat sote waqt hota tha subah ka intezaar,
Ab toh neend sang karli dushmani humne, 
ugte suraj ki kisse padi hai
jo raat ko hi bana liya apna yaar...

Kisse yaad hai who nimbu paani ya khus ka sharbat,
ab toh dost ban gayi jo apni whiskey aur rum.
Guzar gaya who haseen zamana,
aur akele reh gaye hum...

5 comments:

  1. Beautiful. Totally loved it.

    Keep writing.

    ReplyDelete
  2. :) akele zindagi jee ke dekho zara, uska bhi apna hi maza hai....ayine se dosti karke dekho, apna dil bhi kahan itna bura hai...

    :)

    ReplyDelete
  3. @shakti_shetty
    Thanks a lot sir :)

    @thebluntblogger
    haan ab toh wohi karte hain, ayine mein khud ko dekh aahein bharte hain :D

    ReplyDelete
  4. Loved it.. Blissful. :-)

    ReplyDelete
  5. Amazing.....It kind of makes you nostalgic. Keep it up :)

    ReplyDelete