Saturday, 19 November 2011

Dulhan wahi jo piya ghar Gulaab Jamun laaye...


Uske honthon se tapakte ras ko dekh
Uss din mera ye dil dola tha
Haaye kya bataun, iss kadar dard utha tha dil mein
Jab duur baithi hui uss ladki ne,
Gulaab jamun ka dabba khola tha

Chaar mahine ho gaye the
ghar se laut kar aaye hue
laadoo ke jo 4 dabbe diye the maa ne
3 toh chuhe hi kutar gaye

1 dabba jaise taise 2 mahine chalaya tha
1 mahin fir shaant raha mera pet
Par iss Diwali ke mausam ne fir
Kambakhat rulaya tha

Bas thaan li thi
Tabhi jaake 2 dabbe rasmalaai
Aur ek dabba gulaab jamun ka laana tha
Par hamare zalim halwai ko bhi
ussi din hi apne gaon jaana tha

Udaas chehra liye ghar ko wapas aaya tha
Ek haath mein maggi ka packet aur
Dusre mein parle G pakad kar laaya tha
Ye bachelor waali zindagi se uub gaya tha
Shaadi karne ka khayal
Achanak tabhi dimag mein yun chaya tha

Socha kyun na matrimonial khol ek ladki chuni jaaye
Par wahan toh ek se badh kar ek options
Bolo kis kis ki suni jaaye

Kisi ki beti ne ki thi MBBS
Toh kisi ki thi engineer
Kisi ki beti ‘Fair like kartina kaif’
To kisi ki ‘drinks no alcohol just fruit beer’

Koi tha brahman toh koi Rajput
Koi agarwal toh koi Bengali
Kissi ko chahiye tha 6 figure salary ka ladka
Kisi ki thi 6 feet lambe ladke ki demand
Kisi ko chahiye tha alishaan bangla
Toh koi de raha tha dahej mein dukaan

Dukaan sunke sir mera chakraya
Dimag mein ek idea aaya
Kyun na dukaan mein main ek halwai bithaun
Roz taaze taaze gulaab jamun bhi free mein chatt kar jaun

Number dekh uss shaadi ke ishtehaar ka
Phone maine ghumaya tha
Udhar se kisi ne phone utha mere
Idea ko sach karne ka sapna dikhlaya tha

Hafte bhar baad chai pe jaana tha
Bas kisi bhi tarah iss ladki ko apna banana tha
Naya naya suit humne silwaya fir
Gel wel lagake chamakaya sir

Ghar jab unke pahunche toh achche se
Khatirdaari hui thi
Aur tabhi ladki hamare saamne laake khadi
Kardi, ekdum sui si

Socha chalo kuch nahin
Gulaab jamun khila isse mota banaunga
Par in the end shaadi toh
Issi dukaan waali se rachaunga

Ghoonghat dale woh nazdeek mere aa baithi
Maathe se paseena tap tap kar raha tha mere
Socha chalo kuch nahin,
First time waali nervousness hai , yuhin nikal jayegi
Ab toh gulaab jamun sang zindagi bitayi jayegi
Dheere se fir chehra apna
Ghoonghat se nikala tha usne
Ek baar ke liye toh chakra ke girte
Girte bacha

Ladki hai ya ladki ki maa
Ye baat samajh mein hi na aayi
Fir ladki ne haste hue apni umar batayi

Kahan main 22 saal ka, 45 saal ki kunwari
Ke jaal mein jaa fasaa tha
Gulaab jaamun ke liye, ek choti si love story part 2
Banani padegi, kahan pata tha

Bhaaga fir dum daba ke
Ki fir naa aage ka pata tha na peeche ka
Gulaab jaamun jaye bhaad mein
Apni jawaani yun barbaad na karunga
Ek gulaab jaamun ke chakkar mein
Yunhi kisi amma ki mang main na bharunga

Khair aaj fir ghar mein bhooka baitha
Ek kavita likh raha hun
Honthon ko aaj bhi gulaab jamun ka hai intezaar
Bhejdo istehaar agar aapko hai kisi aise ladke ki talaash
Jisse apni biwi se jyaada ho gulaab jamun se pyaar.






No comments:

Post a Comment