Thursday, 3 November 2011

Beti hui hai....

Arrey champa kitni der aur lagegi,
bahir sab intezaar kar rahe hain.
Jaldi nikalo bachcha pet se,
ladke ka kundli pandit ji tayaar kar rahe hain....

“Baapu kya iss baar humein bhai milega?”
Kyun nahin beti iss baar toh pucca milega, ramu bola
“Aur na mile toh taange tod dungi uski”
Boli thi Ramu ki amma lete hue chai ki chuski...

3 betiyan paida kar di thi,
iss aas mein ki ek beta mil jaye.
Betiyan toh bojh hain hum par,
khushal ho uthe jeewan,
jo ek beta bhi aa jaye....

“Beti hui hai” Andar se fir awaaz aayi,
“Haye daiyya, ek aur nayi chudail” fir amma chillayi.
Ramu ki bhi muskurahat thi gayab,
aakhir 4-4 betiyon ka kya karega
unka dahej kaise bharega....

Isse achcha toh bachon samet,
woh khud mar jaaye.
Kya karega banke aisa baap,
jo apne bachchon ka hi pet na bhar paaye....

Socha tha jo 3 thi unme se ek bech dega,
2 ladkiyon sahit ek ladka uske ghar pe rahega....

Ab musibat ye nayi aan padi thi,
upar se amma uski jaan par adi thi.
“Fek aa isse paas waale naale mein.”
Boli thi amma usse...

Sehem gaya tha ramu,
na samajh paya tha kya karega.
Tabhi ek aadmi uske nazdeek aaya aur bola,
bachchi mujhe de de tu kya iska pet bharega...

Khushi khushi ramu ne 5 hazaar
ka sauda kiya tha.
Khush tha woh
ki apni beti ko usne kisi insaan ke hawaale kiya tha...

Woh insaan tha ya janwar
ye baat ramu ko kahan thi pata.
Aur aaj 20 saal baad
anderi galiyon ke musafir roz raat
puchte hain uss ladki ka pata.

5 comments: