Tuesday, 22 November 2011

Na jaane...


Na jaane kyun aaj aankhon mein ek nami si hai
Aaj fir uski kuch kami si hai.
Na jaane kyun lagta hai jaise abhi hi ki toh baat hai
Jab woh mere saath thi.
Aur fir achanak, hawaa ki tarah udd gayi....

Na jaane aaj kis baag mein
Woh khusbu milegi mujhe
Na jaane aaj fir kiski baaton pe
yunhi muskura paunga main.
Na jaane…

Abhi aansu bas behna hi shuru
Hue the, ki achanak uska ek email aaya
Chehre pe halki muskurahat aayi thi
Uska naam fir padhke.
Email mein poocha tha usne,
Ki uski purani kitaab jo aaj bhi mere yahan padi hai,
Woh lauta sakta hun usse....

Na jaane woh kitaab maine kyun apne pass rakhli thi
Usme ek gulaab bhi pada tha, sukha hua sa
Hamare iss rishte ki tarah.
Aaj bhi uss kitaab ke panno mein
Uski ungliyon ka ehsaas hai.
Na jaane, aaj bhi woh kyun itni khaas hai....

Ab toh na ye aansu tham rahe hain
Na uski yaadon ka silsila.
Abhi abhi hamari kuch purani chats
Padhi maine, bistar ke ussi kone mein baithkar
Jahan uski salvatein aaj bhi maujood hain....

Achcha hai aaj ye laptop hai mere pass,
Warna aaj bhi mere shabd, 
aansuon se bheege hue paper se tapak kar
gayab ho jaate....

Na jaane, aaj bhi woh kyun itni khaas hai… 

2 comments:

  1. Very nice abhi! This went inside and pinched, felt it!:) Keep up the good work, i know these are coming from experiences! :) Tc

    ReplyDelete
  2. I loved it ! Specially these lines :
    'Aaj bhi uss kitaab ke panno mein Uski ungliyon ka ehsaas hai.
    Na jaane, aaj bhi woh kyun itni khaas hai..'
    Beautiful. :)

    ReplyDelete