Saturday, 20 October 2012

Budhiya Tapak Gayi... (English font)


Uss raat hawa kuch yun chali thi,
Ghar mein har taraf machi hui khalbali thi,
Chacha tau bhaiya bhabhi,
Sabki tijoriyon ke talon kit hi bas ek hi chabhi
Jor se chilla kar sabne poocha,
“Budhiya tapki kya raamu kaka?”

Na ki dhwani sun,
Unka chehra thoda murjhaya tha,
Sabne kosa tha uss manhus family doctor ko,
Na jaane budhiya par usne dawaiyon ka kya jaadu chalaya tha

Budiya bhi toh harami thi,
Saari jaydaad par jo kabza kar rakha tha,
Na jaane budhape mein kaunse shauk poore karne ka churan usne chakha tha

Ab toh bas sabko yahi tha intezaar,
Ki kab dharti ka bojh halka karegi,
Wah budhiya bimaar

“Bhabhi chalo isi bahane hum itne saalon baad mile toh sahi…”
Nanad muskura kar boli thi,
Peheni usne nayi waali ghaghra choli thi,
Arrey jashn ka mahaul tha,
Tabhi aaya Lucknow waale chachaji ka call tha,
“Arrey hamre bina party shuru na kijiyega…”
Tau khisiya kar bole,
“Arrey pehle budhiya ki jaan toh khisakne dijiyega…”

Ramu kaka fir achanak daude daude aaye,
Bhaiya unke maathe ki shikan dekh kar halke halke muskuraye,
“Amma chal basi…”

“Arrey badhai ho…”
Har taraf maano khushiyon ki holi chayi ho
“Arrey barfi lao…”
“Barfi chodiye pehle budhiya ko shamshaan lejaane ka intejaam toh karke aao…”

Fir sabne milkar jaldi-jaldi pandit ka phone ghumaya,
Mahaul dekh pandit ne sar khuja kar poocha,
“Arrey bhai, antim sanskar keh kar, kya shaadi karwaane hai bulaya?”

Pooja samagri aur lakdi ka takht,
Pehle se hi tha taiyaar,
Advance mein hui saari taiyaariyan dekh tau bole,
“Kyon hain na mera beta samajhdar…”

“Arrey chintu sab itna khush kyon hain?”
Uski cousin cheenu ne poocha,
“Arrey idiot, itni saari jaydaad bech ab bahut saare paise aayenge,
Fir mummy daddy humein aish karayenge…”
“Ye aish kya hota hai?”
Paas baithe bittoo ne muskura kar bola,
“Alley, ab humein ghumane woh essel world le dayenge…”
Udhar vakeel sahab bhi apni fatfatiya par baith,
Turant aa dhamke the,
Akhirkar unke sitaare bhi toh chamke the,
Budhiya ki jaydaad mein ghotala kar unhone hi toh saara maal hadapwaya tha,
Ab unke bhi saare sapne poore hone jaa rahe the,
Raaste mein maaruti showroom se woh nayi waali alto ka order de kar aa rahe the…

“Pakka tapki hai na?”
Vakeel sahab ne ghuste hi poocha tha
“Arrey inn desi ghee mein bani barfiyon ki kasam…”

Sabke chehron par chaya ek alag hi sukh tha,
Aur lalaji ki kaaju barfiyon ne duur bhagaya tha,
Budhiya ke tapakne ka job hi raha saha dukh tha…

“Bhai waah, maze aa gaye. Kitne ki padi ye barfi?”
Pandit ji ne bhi maze se chakh kar bola
“Arrey pandit ji, barfi baad mein khaiyega, ye bolo aapne apna potla khola?”
Udhar se lucknow waale chacha bhi dhamak gaye the,
Saath aayi chachi ko dekh,
Indore waale tau aur patna waale foofa ke chehre kuch aur chamak gaye the…

“Chalo chalo amma ji ko laiye…”
Pandit ji taiyaariyan poori kar jaise hi bole,
Sabko maano bijli ka jhatka lag gaya,

Jab saamne khadi amma ne jhalla kar poocha,
“Arrey raamu, ye kaun tapak gaya?”

No comments:

Post a Comment