Wednesday, 14 December 2011

Raat se dosti...


Ye raat jo kuch pal pehle ek ajnabi si thi
Abhi ek dost ki tarah,
Mere baaju mein baithi hai.

Keh rahi hai,
Chalo kuch guftagu karte hain
Tum kuch apni baatein sunao
Main kuch apne kisse sunati hun

Main bola,
Haar roz toh tumse kehta hun,
Woh  jo chup chaap sehta hun.
Aaj bhi toh wahi ek kahaani hai,
Har raat saath baith ke tumko hi toh sunaani hai.

Raat boli,
Mere pass toh kitne aate hain,
Kisse bhi apne sabhi sunaate hain.
Shayad main chupa jaati hun unke kuch raaz
tumhare bhi chupa lungi kuch aaj. 

Main bola,
Haan mere bhi raaz chupa lo na,
Aansun bhi mere tumhi toh batorti ho.
Muskurahatein toh jaise gum si ho gayi hain.

Raat muskurayi aur boli,
Dost manta hai na mujhe,
Toh dhyaan se sun ek baat sunati hun,
Aaj tujhe apni iss dosti ka raaz batlati hun.

Jo kuch bhi hai tere dil mein,
Mujhe ek potli samajh bhar de saari baatein.
Aur fir jab dil khali ho jaaye tera,
Toh potli mein se sirf wohi baatein chun,
Jo karengi iss raat ke baad ek naya savera.

Aur fir, dekh suraj ki pehli kiran aa gayi
Mujhe toh ab jaana hoga.
Par jaate jaate thoda theher ke jaa rahi hun,
Jaldi se meri potli se woh gudgudate hue pal chun le,
Khushiyon se apna aaj ka sweater bun le.

Raat fir apne ghar chal padi, 
par achanak peeche mud ke woh boli

Sun, kal mein fir aaungi
tere aansu kuch aur le jaungi.
Jaate jaate ek naya suraj,
Aaj ki tarah main fir de jaungi.


No comments:

Post a Comment