‘Kisi ki muskurahaton pe ho nisaar,
Kisi ka dard le sake toh le udhaar…’
Aur fir kisi ki muskurahat sunayi di...
Ek minute ke liye radio se dhyan hata
Toh dusri taraf dekha
Woh baithi khilkhila rahi thi
Shayad meri hi tarah apni manzil ko jaa rahi thi....
Khayal aaya kyun na aaj unhi ke saahare
Thoda samay kaat lein...
Waise bhi train ko aane mein der thi
Bhale hi na saari umr
Par thodi der hi....
Jeb mein bas ek kaagaz pada tha
Pen toh hamesha ki tarah lapata tha....
Saath waale uncle jo soye pade the unse manga tha pen
Kaise gusse se dekh rahe the
Aur hum, hum toh aapki hassi mein beh rahe the...
Fir socha iss samay ki yaad mein kuch likha jaye
Likh toh daala tha par darr tha,
Ki ab aap tak usse pahunchaya kaise jaaye...
Bas kisi tarah himmat kar uthe the uss din
Apni kavita ko aap tak pahunchane
Uss din jab aapke saamne hi baithe rahe
4 ghante aapko dekhne ke bahane...
sweeet :)
ReplyDelete:) loved it. could totally picture myself doing the same as i read it.
ReplyDeletenice.. loved it..
ReplyDeleteWow :))
ReplyDelete:) last para nailed it...
ReplyDelete=)
ReplyDelete