Uss raat
hawa kuch yun chali thi,
Ghar mein
har taraf machi hui khalbali thi,
Chacha tau
bhaiya bhabhi,
Sabki tijoriyon
ke talon kit hi bas ek hi chabhi
Jor se
chilla kar sabne poocha,
“Budhiya
tapki kya raamu kaka?”
Na ki
dhwani sun,
Unka chehra
thoda murjhaya tha,
Sabne kosa
tha uss manhus family doctor ko,
Na jaane
budhiya par usne dawaiyon ka kya jaadu chalaya tha
Budiya bhi
toh harami thi,
Saari jaydaad
par jo kabza kar rakha tha,
Na jaane
budhape mein kaunse shauk poore karne ka churan usne chakha tha
Ab toh bas
sabko yahi tha intezaar,
Ki kab
dharti ka bojh halka karegi,
Wah budhiya
bimaar
“Bhabhi
chalo isi bahane hum itne saalon baad mile toh sahi…”
Nanad
muskura kar boli thi,
Peheni usne
nayi waali ghaghra choli thi,
Arrey jashn
ka mahaul tha,
Tabhi aaya Lucknow
waale chachaji ka call tha,
“Arrey
hamre bina party shuru na kijiyega…”
Tau khisiya
kar bole,
“Arrey
pehle budhiya ki jaan toh khisakne dijiyega…”
Ramu kaka
fir achanak daude daude aaye,
Bhaiya unke
maathe ki shikan dekh kar halke halke muskuraye,
“Amma chal
basi…”
“Arrey
badhai ho…”
Har taraf
maano khushiyon ki holi chayi ho
“Arrey
barfi lao…”
“Barfi
chodiye pehle budhiya ko shamshaan lejaane ka intejaam toh karke aao…”
Fir sabne
milkar jaldi-jaldi pandit ka phone ghumaya,
Mahaul dekh
pandit ne sar khuja kar poocha,
“Arrey
bhai, antim sanskar keh kar, kya shaadi karwaane hai bulaya?”
Pooja
samagri aur lakdi ka takht,
Pehle se hi
tha taiyaar,
Advance mein
hui saari taiyaariyan dekh tau bole,
“Kyon hain
na mera beta samajhdar…”
“Arrey
chintu sab itna khush kyon hain?”
Uski cousin
cheenu ne poocha,
“Arrey
idiot, itni saari jaydaad bech ab bahut saare paise aayenge,
Fir mummy
daddy humein aish karayenge…”
“Ye aish
kya hota hai?”
Paas baithe
bittoo ne muskura kar bola,
“Alley, ab
humein ghumane woh essel world le dayenge…”
Udhar
vakeel sahab bhi apni fatfatiya par baith,
Turant aa
dhamke the,
Akhirkar unke
sitaare bhi toh chamke the,
Budhiya ki
jaydaad mein ghotala kar unhone hi toh saara maal hadapwaya tha,
Ab unke bhi
saare sapne poore hone jaa rahe the,
Raaste mein
maaruti showroom se woh nayi waali alto ka order de kar aa rahe the…
“Pakka
tapki hai na?”
Vakeel
sahab ne ghuste hi poocha tha
“Arrey inn
desi ghee mein bani barfiyon ki kasam…”
Sabke
chehron par chaya ek alag hi sukh tha,
Aur lalaji
ki kaaju barfiyon ne duur bhagaya tha,
Budhiya ke
tapakne ka job hi raha saha dukh tha…
“Bhai waah,
maze aa gaye. Kitne ki padi ye barfi?”
Pandit ji
ne bhi maze se chakh kar bola
“Arrey
pandit ji, barfi baad mein khaiyega, ye bolo aapne apna potla khola?”
Udhar se lucknow
waale chacha bhi dhamak gaye the,
Saath aayi chachi
ko dekh,
Indore
waale tau aur patna waale foofa ke chehre kuch aur chamak gaye the…
“Chalo
chalo amma ji ko laiye…”
Pandit ji
taiyaariyan poori kar jaise hi bole,
Sabko maano
bijli ka jhatka lag gaya,
Jab saamne
khadi amma ne jhalla kar poocha,
“Arrey
raamu, ye kaun tapak gaya?”